Ramayana aaj hoti to kaisi khabarein aati …
● Raja dashrath ne ki Shrawan Kumar ki Hatya, FIR Darj…
● Ayodhya ke rajpath ko leke raja-rani mein vivaad badha!
● Kevat dwara charan dhulwane se mayawati hui naraz, Kaha yeh hai Dalito ka apmaan
● Tadkaa Vadh va Suparnkha ki Naak kataayi ke virodh mein Mahila Ayog ka Ayodhya mein pradasrhan Jaari…
● Raja dashrath ki Antim shav yatra mein Swayam Dashrath bhi Maujood: INDIA TV
● Baali ki hatya ki shaq ki sui Shriram par thehri, Saptaah bhar mein CBI pesh karegi report..
● 6 mah tak Rawan ko apni kaankh mein daba ke ghumne ke jurm mein baali ke khilaaf Indrajeet ne mukadma kiya
● Sone ka hiran maarne par Shriram ji ko van vibhag se mili chetawani!
● Shriram ne apni patni Sita ke apharan ka mamla darj karaya..
● Bina Visa Hanuman Lanka gaye, Shrilanka sarkar ne jatayi aapatti
● Samudra par asanwaidhanik Setu banane par Nal va Neer se CBI Karegi puchhtachh
● Ashok vaatika ujaadane, Yuvraj Aksh ko maarne aur Lanka mein aag lagane ki jurm mein Rawan ne Veer Hanuman ko bandi banaya!
● Himalaya vaasiyo ne parwat shrinkhala se ek parwat ke chori ho jaane ki report darj karayi…
● Angad ne lanka ke raja ka unhi se niwas sthan mein jaake kiya apmaan!
● Vibhishan par deshdroh ka aarop, Hue Tadipaar
● Shri Ram ne kiya Rawan ka farzi encounter, Bharat aur Shrilanka ke beech duriya badhi!
● Sita se agni pareeksha maangne par mahila aayog ne Shriram ki kade shabdo mein ninda ki
● Kya Pushpak vimaan ko ayodhya mein utarne ki anumati degi sarkaar?
● Supreme court ne janta ki maang par ShriRam aur unki sena ko sabhi aaropo se mukt kiya!
——- Eeti Shri Ramayana Katha Samapt – Bolo Siyawar Ramchandra ki Jai! ————